Pinterest se gif aur video kaise download kare

Pinterest un logo ke liye jyada faydemand hai jo kisi tarah ka business chalu karna chahte hain aur is par un business ideas ko ya jankari ko share karna chahte hain jaise fashion designer hai
WhatsApp Group Join Now

Last Updated on 08/03/2024 by Avtar Singh

how to download gif from pinterest to gallery

Is post ke dwara janenge ki pinterest ke dwara gif file aur isme aane wale video ko kaise download kiya ja sakta hai.

how to download video image in pinterest


Agar aap pinterest ke bare me nahi jante to iske bare me jarur jaane aur istemaal kare. Kyoki isme aapko apne gyan ko badhane ke sath sath aur bhi bahut saari manoranjak image aur video gif image sab kuch milega.

Is post ke dwara aapko pinterest se image video aur gif image kaise download kar sakte hai iske bare me janege.

Isse video aur gif ko aap download karne ki bahut koshish karte honge lekin download nahi kar paate honge. Aaj ki is post ke dwara aapko isi baat ko bataunga ki pinterest se hum video ko aur gif file ko kaise download kar sakte hain.

pinterest gif video download करे 

Pinterest ke bare main to aapko batane ki avashyakta nahin hai kyunki yah ek taraf se photo sharing website hai jahan parjaakar bahut saare category ka photo ko dekh sakte hain ya is par aap koi photo share karna chahte hain toh isme share kar sakte hain.

Jis tarah se facebook, twitter whatsapp, instagram yah social networking website hai jis par hum daily kai tarah ki jankari aur video, photo share karte hain waise hi yaha bhi hai ek social networking site hai.

Read This- ◾Whatsapp me ek baar me 5 se jyada logo ko aise massage bheje
Facebook se video ko download karne ka yah tarika jaane
Twitter par kisi ko Tag kaise kare

Pinterest un logo ke liye jyada faydemand hai jo kisi tarah ka business chalu karna chahte hain aur is par un business ideas ko ya jankari ko share karna chahte hain jaise fashion designer hai ya koi dukan wala hai ya kisi bhi tarah aapka business hai to aap apne sabhi jankari ko is par share kar sakte hain aur adhik se adhik grahak bana sakte hain.

Ya un logo ke liye aur adhik achcha hai jo website main article likhte hain, web designing karte hain aur bhi bahut sari internet se judi hui gatividhi karte hain to apni jankari is par share kar sakte hain aur full traffic paa sakte hai.

Pinterest से gif कैसे download करे

Pinterest se gif kaise download kare iske bare mein jane se pahle jaan lete hain yah image kya hota hai aur baki image se kis tarah se alag hai

Gif image क्या है   Agar aap gif ke bare mein nahi jante to aap jaane ki ya ek tarah se moving picture hota hai jo ki kuch second ka hota hai. Aapne whatsapp ya aur dusri social media platform par dekha hoga ya ese internet par bhi jarur dekha hoga yah ek tarah se image ka hi ek format hai joki kuch second ka hota hai.

Gif full form graphic interchange format hota hai ise images ke liye aur software program me adhiktam istemal kiya jata hai.

Pinterest se gif kaise download kare

◼️ Pinterest se isko download karne ke liye sabse pahle aap apne app ko open karke jis image ko download karna chahte hain us image ko open karne.

◼️ Open karne ke bad upar mein dekhenge 3 dot ka option milega 3 dot ke option par click kare.

◼️ Fir us options mein apko download image ka option milega us par click kar de vah image gallery par download ho jayega.

Pinterestimage ko website se kaise download kar sakte hain

Wah images jis website ka haius website par jakar use download kiya ja sakta hai.

◼️ Iske liye sabse pahle aap image open karen aur image ko open karne ke bad use touch kare.

◼️ Jab aap isko touch karenge to image ki site par chale jayenge Aur image site par jane ke bad use par aap log press karke download image option se uc picture ya gif ko download kar sakte hain.Pinterest se video kaise download kare

◼️ iske video ko download karne ke liye sabse pahle aap apne us video ko open kare.

◼️ Video open hone ke baad uske kinare side mein diye gaye 3 dot option par jakar use video ke link ko copy kare.

◼️ Link ko copy karne ke baad apne mobile se ya computer ke koi bhi browser me pinterest video downloader likhkar search karle.

◼️ Search karne ke baad aapko bahut sare webside mil jayenge jahan se is video ko download kiya ja sakta hai.

Kuch pinterest video downloader-

keepvid
expertsphp
◽Expert tool

◼️ isme video download karne ke liye koi bhi downloader website ko open kare

◼️ Open karne ke baad apne use copy kiye gaye link ko ismein paste kar de aur paste karne ke bad download option se us video ko download karne.

is tarah se pinterest se video ko download kiya ja sakta hai.

Friends is tarike se aap pinterest ke dwara koi bhi gif image aur video ko badi aasani se download kar sakte hain. Aap agar apne koi bhi website ya shop ka promotion karna chahte hain to pinterest ke dwara kar sakte hain.

Yah bhi padhe –

Facebook me friend request aana kaise band kare
Whatsapp me kisi ko block kaise kare
Whatsapp status se jude yah tricks jarur jaane
Computer me facebook massanger kaise use kare

Pinterest se aapko jo bhe chij educational ya useful lagta hai image ho video un sabhi ko aap yahan se download kar sakte hain.
Yah jankari aapko kaisi lagi comment ke dwara jarur share kare.

WhatsApp Group Join Now
Avtar Singh
Avtar Singh

मेरा नाम अवतार सिंह है और मै इस ब्लॉग का संस्थापक हूँ । यहा पर मै अपने पाठको के लिए उपयोगी जानकारी हिन्दी मे शेयर करता हूँ । यह जानकारी आपको पसंद आए तो social मीडिया मे जरूर शेयर करे ।

Articles: 491

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *